ERA LYRICS – King

ERA LYRICS - King

Hindi song ERA sung by King, from album The Gorilla Bounce. Music and Lyrics also given by King.

SingerKing
MusicKing

ERA Lyrics

Verse 1

Maine logo ke bhi beech khade dekhi tanhaayi
Jitni kamayi utni hi waah waahi
Mere paas koi degree ni dil jeetne ki
Dil se hi gaayi aur kardi chadhayi

Main kalla bhukka betha reha kayi dina tak
Beri khush hoye soche chal gaya luck
Maine jaan ke ye saare muh maarne ko chhode
Kyuki Kutton ke hisse ka sher khata nahi haq

Pre-Chorus

Group banaake saade karde burayi
Kade gang asli na aake chakle
Do chaar dina di eh temporary hype
Ehnu kakka saambh ke tu rakhle

Hook

Daur aya mera kayi bande phuk gaye
Kabhi fir mere saamne ni takre
Vo kya hi sach se nibhaane yaariyaan
Ho jinhe khud ke imaan se hi khatre

Verse 2

Pyaar jua hai
Poori naa-insaafi
Cheen liya neki
Jisne baant diya paapi

Main baant aya sab fir kya hi chalaaki?
Zindagi jo meri kabhi kisi ne ni jhaanki.
Door se hi khade mujhe dekh rahe
Ye chhu nahi sakenge itni dooriyaan banaadi

Main kalla dukhi betha reha kayi dina tak
Beri khush hoye soche Raja gaya thak
Maine jaanke ye saare mauka marne ko chhode
Taaki pata chale thaali mein tha chhed kaha tak.

Pre-Chorus

Waqat banata koi ban da nai bad
Edda quote ta duniya hi boldi

Mind na kari mere
Hathha ch mashook kakka
chhatiyaan puchke ni kholdi

Hook

Daur aya mera kayi bande phuk gaye
Kabhi fir mere saamne ni takre
Vo kya hi sach se nibhaane yaariyaan
Ho jinhe khud ke imaan se hi khatre

Verse 3

Pyaar tu maange,
De wafa jaan – e – mann

Mera dhyaan baateon mein na
rakha jaan – mann

Husan ki galiyon mein firta main roz
Mujhe teri bhi saheliyon ne takha jaan – e – mann

Ilzaam mera main na tera hua
Ye bhi ghao mera tune chheda hua
Rishton se zada sachha paisa mujhe lagta hai
Tera hua na kabhi mera hua

Khel ye mere saamne kaise kar jaati ho?
Ek dil ko sabmein baant ke kaise reh paati ho?

Ho tere yaar bhathere meri bas ek maai
Jeb dekh ke pyaar ni karti
Naam aur shauhrat aur moti hai kamayi
Teeno Raaja ki baahon meim marti

Hook

Daur aya mera kayi bande phuk gaye
Kabhi fir mere saamne ni takre
Vo kya hi sach se nibhaane yaariyaan
Ho jinhe khud ke imaan se hi khatre