Kachiyaan Hai Nindra Tere Bina Lyrics – Jubin Nautiyal

Kachiyaan Hai Nindra Tere Bina Lyrics - Jubin Nautiyal

Hindi song Kachiyaan Hai Nindra Tere Bina Lyrics sung by Jubin Nautiyal, Starring Karan Mehra, Ihana Dhillon & Amardeep Phogat. Music is given by Meet Bros and Lyrics written by Kumaar.

SingerJubin Nautiyal
MusicMeet Bros
Song WriterKumaar

Kachiyaan Kachiyaan Lyrics

Roz raat takiye pe aansuon ki baarish hai
Dhadkanein nahi dil mein gum ki rihaish hai
Roz raat takiye pe aansuon ki baarish hai
Dhadkanein nahi dil mein gum ki rihaish hai

Ishq ho barabar ka bas yahi thi chaahatein
Ik taraf bechaini kyon ik taraf hai raahatein
Tu soye main taare gin’an, kachiyaan kachiyaan

Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina
Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina
Tum ho soye yahan pe main taare gin’an
Kachiyaan kachiyaan

Mere labon pe to bas hain shikayatein
Milti nahi hai kyon dard mein riyayatein

Mere labon pe to bas hain shikayatein
Milti nahi hai kyon dard mein riyayatein
Yeh toota dil toote khwabon ke silsile
Aur kuch nahi hai ye teri inayatein

Patjhad yahan wahan pe gulabon ke mausam hai
Dhadkanein wahan jyada saansein yahan kam hain
Tu soye main taare gin’an, kachiyaan kachiyaan

Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina
Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina
Tum ho soye yahan pe main taare gin’an

Main tere nazdeek tu mujhse door hai
Sochta hai dil koyi baat to zaroor hai

Main tere nazdeek tu mujhse door hai
Sochta hai dil koyi baat to zaroor hai
Marzi hai teri in faaslon mein ya fir
Itna bata kya yeh ishq-e-dastoor hai

Main udaas baitha hoon tu khushi ki baahon mein
Manzilon pe tu hai main reh gaya hoon raahon mein
Tu soye main taare gin’an kachiyaan kachiyaan

Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina
Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina
Tum ho soye yahan pe main taare gin’an
Kachiyaan kachiyaan