Meri Tarah Lyrics – Jubin Nautiyal & Payal Dev

Meri Tarah Lyrics - Jubin Nautiyal & Payal Dev

Hindi song Meri Tarah Lyrics sung by Jubin Nautiyal & Payal Dev. Music is given by Payal Dev and Lyrics written by Kunaal Vermaa.

SingerJubin Nautiyal & Payal Dev
MusicPayal Dev
Song WriterKunaal Vermaa

Meri Tarah Lyrics

Kaun hai wo duniya mein jo
Tujhe mujhse badhkar chahane laga
Jiske liye tu haath mera
Ik pal mein chhod ke jaane laga

Kaun hai wo duniya mein jo
Tujhe mujhse badhkar chahane laga
Jiske liye tu haath mera
Ik pal mein chhod ke jaane laga

Tu soch samajh kar chaho use
Ek din mujhse milwaao use
Main bhi to dekhun
Pyaar mein woh kya kar sakta hai

Kya woh jo bhi kehta hai
Woh sach mein kar sakta hai
Kya meri tarah woh tujh par
Hass ke mar sakta hai

Kya woh jo bhi kehta hai
Woh sach mein kar sakta hai
Kya meri tarah woh tujh par
Hass ke mar sakta hai
Hass ke mar sakta hai

Bahut fark hota hai yun saath muskurane mein
Hath thaamne mein aur zindagi bitaane mein
Jeene marne ki baatein karke bhool jaate hain
Kya kisi ka jaaye jhoothe khwab sau dikhane mein

Tum galiyon mein apni bulao zara
Mere jitne kaante bichhao zara
Bina uff kiye kya inn pe
Woh bhi guzar sakta hai

Kya woh jo bhi kehta hai
Woh sach mein kar sakta hai
Kya meri tarah woh tujh par
Hass ke mar sakta hai

Kya woh jo bhi kehta hai
Woh sach mein kar sakta hai
Kya meri tarah woh tujh par
Hass ke mar sakta hai

Ab yaad rakhega kaun kise
Yeh waqt ko tay kar lene de
Karde khushiyon ki baarish us par
Aankh mujhe bhar lene de

Na shor hua aawaz huyi
Jab jab dil sacha toota hai
Puchho sabse se sabko apne
Chahne walon ne loota hai

Na aas rahe na saans rahe
Hum bhi patthar ho jayenge
Tum ho jao gairon ke
Hum to khud ke hi na ho payenge
Ho payenge

Teri dhadkanon ke zariye
Main bhi to dhadakti hoon
Tujhe kaise dil se mere
Door kar sakti hoon

Jaisi bhi hon raahein chahe
Haan main chal sakti hoon
Tujhe dekh kar jeeti hoon
Tujhpe mar sakti hoon

Tujhpe mar sakti hoon
Tujhpe mar sakti hoon
Tujhpe mar sakti hoon