O Yaara Dil Lagana Lyrics – Sanak

O Yaara Dil Lagana Lyrics - Sanak

Song O Yaara Dil Lagana Lyrics is sung by Stebin Ben & Deeksha Toor, Starring Vidyut Jammwal & Rukmini Maitra. Music is given by Chirantan Bhatt & Nadeem – Shravan and Lyrics written by Manoj Yadav & Sameer Anjaan.

Singer Stebin Ben & Deeksha Toor
Music Chirantan Bhatt & Nadeem – Shravan
Song Writer Manoj Yadav & Sameer Anjaan

O Yaara Dil Lagana Lyrics

Humko tumse sirf sirf itna kehna hai
Dekhe duniya tumse pyaar aise karna hai
Ban ke chaahat ek doosre mein behna hai
Yaara yaari jaise sath jeena marna hai

Ikraar karna mushqil hai
Inkaar karna mushqil hai
Mehbub se mohobbat ka
Izhar karna mushqil hai

Oh kitna mushqil hai dekho
Is duniya mein dil lagana
O yaara dil lagana
O yaara dil lagana

Kitna mushqil hai dekho
Is duniya mein dil lagana
O yaara dil lagana, o yaara

Dekha yeh dekha hai aksar
Aashiqui toh karti hai paagal
Saanson mein saans ban ke yeh
Kar deti hai dil ko ghayal

Neendein veendein yaara chain wain
Aur jaan waan leti hai uljhan
Bankar dil dost ishq ka
Ban jaata hai khud ka dushman

Koyi kehta ishq hai aafat
Koyi kehta ishq hai jannat
Koyi kahe nasha yeh bura hai
Koyi kahe ye achhi aadat

Aitbar karna mushqil hai
Jaan nisar karna mushqil hai
Mehboob se mohobbat ka
Izhar karna mushqil hai

Ho kitna mushqil hai dekho
Is duniya mein dil lagana
O yaara dil lagana o yaara

Kitna mushqil hai dekho
O yaara dil lagana o yaara

Kitna mushqil hai dekho
O yaara dil lagana o yaara