VARDAAN – CarryMinati

VARDAAN Lyrics - CarryMinati

Singer CarryMinati
Music Wily Frenzy
Song Writer CarryMinati

VARDAAN Lyrics

Sashakt bakse mein band
Pade pade laga uspe jang aur gandh
Kabhi kabhi karta hai mann
Karlun usi bakse mein khud ko band

Ghisat ghisat ke ladd
Jaise tu koyi tooti patang
Seh le tu dard kyun ki kabhi
Na hogi khatam ye jung

Gharwalon se aati sharam kehne mein
Jo mujhe hai ban’na
Jab tak deta na saboot toh kaise bolun
Haan yahin hai shuru se mujhe karna

Raaste jo paas thhe kab aayenge saamne
Jitna picha karoge utne badhege faansle
Sapno ke liye saans le sapno ke liye jaan de
Kaise hai karna bas yahi na jante

Pakdo mera hath kudo tum unchayi se
Jayenge niche nahi aur bhi unchayi pe
Jahan pe jeet ki pukaar bhi sunayi de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de

Pakdo mera hath kudo tum unchayi se
Jayenge niche nahi aur bhi unchayi pe
Jahan pe jeet ki pukaar bhi sunayi de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de

Niche mat dekhna piche mat mudna
Chillate log zinda ya murda
Zara soch kabhi tu bhi wahin tha
Par tujhme thi veerta haan tu hi sahi tha

Sabmein jalti hai aag
Jise aksar bujhne dete hai hum
Ant mein bachti hai rakh
Jo karti himmat aur bhi kam

Karni hai poori apni khuraak
Lagega sirf ek hi janam
Lapte uthengi rakh se
Bas rakhna hai aage kadam

Padenge piche log aur marenge taane
Unki mat sun yeh bukhe bechare
Jane anjane yeh bas khate hai daane
Ye log khud ko na pehchane
Toh socho kaise aayenge humein bachane

Nakamyabi ka jab badhta hai andhera
Nahi samjhte sab aur lagta hai akela
Tab bhulo na kya kya tumne jhela
Kyun ki aata hai andhera taaki aa sake sawera

Pakdo mera hath kudo tum unchayi se
Jayenge niche nahi aur bhi unchayi pe
Jahan pe jeet ki pukaar bhi sunayi de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de

Pakdo mera hath kudo tum unchayi se
Jayenge niche nahi aur bhi unchayi pe
Jahan pe jeet ki pukaar bhi sunayi de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de

Ban’na nahi legend banani bas apni jagah
Dena nahi 100% 200 tu power laga
Qismat ko bhool, bhool mat apni wajah
Lagi hai chot vardaan hai na koyi saza